[10 Best] Baccho Ko Padhne Wala Apps | बच्चों को पढ़ाने वाला ऐप

Baccho Ko Padhne Wala Apps

Dosto aaj ke samay me jais-jaise technology badh rhi hai vaise hi sabhi chijo me bhi parivartan aa rha hai. Aaj internet ka time hai, har field me internet ka upyog badta ja rha hai jisase logo me internet upyog karne ka chah bhi badh rha hai. Aaj ke time me chote bacho ko bhi phone use karna accha lagta hai lekin kya ho agar baccho ko phone use karne ke sath me siksha bhi mil jaye, ji ha dosto baccho ko phone ke madhyam se bahut asani se padhaya bhi ja sakta hai. Aaj ke samay me bahut se aise apps hai jisme bahut hi acche aache tarike diye gye hai jisase baccho ko padhne me bahut maza bhi aayega aur bahut asani se koi bhi chij sikh bhi jayenge . 

Baccho Ko Padhne Wala Apps 

Is article me hamne 10 alag-alag tarah ke apps ko diya hai jaise – ABC learning, 123 Number counting & tracing, Fruits and vegetables name, body parts name, drawing, maths games aadi. In sabhi apps me bahut hi acche acche graphics ke sath voice bhi diya hai jisase baccho ko padai me asani ho aur unka fun bhi ho sake jisase vo bor na ho. 

1. Early Learning App For Kids

Baccho Ko Padhne Wala Apps

Early learning aap preschooler aur kindergarten ke baccho ke liye hai.

Is aap me se bacche abc, rhymes, numbers, animals name, fruits name bahut asani se aur majedar tarike se sikh sakte hai. Isme bacche khel khel be bahut hi acche tarike se kisi bhi chij ko sikh sakte hai. Chhote baccho ke dekhane me accha lage iske liye isme bahut hi colorful interface bhi diya hai .

Isme bacche Drawing bhi kar sakte hai aur use save karke rakh sakte hai sath hi apne parents ke whatsapp par share bhi kar sakte hai.

 Early Learning App Download

2. ABC Kids – Tracing & Phonics

Baccho Ko Padhne Wala Apps

Abc kids tracing and phonics app 2 saal se 8 saal tak ke baccho ke liye banaya gya hai .

Jaisa iske name se hi pta chalta hai ki yah app abcd sikhne ke liye hai, isme baccho ko dhyan me rakh kar bahut easy interface diya hai sath hi isme sabhi alphabet ko game jaise design kiya hai, ise bacche alphabet ko touch karke usi jaisa symbol bnate hai jisase baccho bahut hi asani se A to Z tak alphabet sikh sakte hai .

Sabse acchi bat yah hai ki yah aap bilkul free hai sath hi is aap me kisi tarah ka advertisement bhi nhi aata hai jisase bina kisi rukavat ke upyog kiya ja sakta hai.

Abc kids Download

3. 123 Numbers – Count & Tracing

Baccho Ko Padhne Wala Apps

123 number count app me aap uper diye gye app kr jaise hi use kar sakte hai .

Is aap me baccho ko number / ginti ko sikhaya jata hai isme baccho ke sath parents bhi help kar sakte hai jisase baccho ko ye khel jaisa lage aur bahut asani se sabhi numbers sikh jaye.

Is app ka user interface bahut accha hai iske aapko colorful aur animation ke sath voice bhi diya gya hai jisase bacche ko boriyat mahsoos na ho.

123 Number Count Download

4. Learn Months and Days

Baccho Ko Padhne Wala Apps

Is app ki help se months aur days ko sikha jata hai. 

Is aap me months aur days ka name sikhne aur yaad karne ke liye 3 tarah ke option maujud hai jaise learning mode, Quiz mode, IQ test mode 

1. Learning mode:- learning mode me baccho ko mahine aur din ke flashcards diye jayenge aur baccho ko unki spelling aur uccharan sunne ke liye us par click karna hoga 

2. Quiz mode :- Is mode me bachho ko months aur dino ke unki samjh ka test karne me madad milta hai, unhe bus mahine aur din ke name ko pura karne ke liye chhute huye words ko khichna hoga .

3. IQ test mode:-  Is mode me aapne jo pure app me sikha hai uske adhar par questions puche jayenge aur aapko unka javab dena hoga . 

Learning Months and Days Download

5. Fruits and Vegetables for Kids

Baccho Ko Padhne Wala Apps

Isme apko lagbhag sabhi tarah je fruits aur vegetarian ke name dekhne ko mil jayega, sabhi fruits aur vegetables ke name se sath unka image bhi diya gya hau jisase baccho ko samjhne me asani ho aur vo sabhi fruit ka name aur uska picture yaad kar sake.

Baccho ke liye isme bahut sare quiz diya gya hai jisase bacche jisase bacche fruit and vegetables ko dekh ke uska name choose kar sakte hai.

Fruits and Vegetables Download

6. 6 Years Old Preschool Games

Baccho Ko Padhne Wala Apps

Yah app 6 year ke baccho ke liye bahut hi accha hai isme math game diya gya hai jisme bacho ko asani se samjh aaye uske liye bahut sare cartoon animal diya gya hai jise count karke likhna hota hai, sath hi isme aur bhi kai mind game hai jise bacche khel khel me bahut kuch sikha sakte hai.

Download 6 years old Preschool games

7. Brain Games Kids

Baccho Ko Padhne Wala Apps

Dimag ko sakriya banane aur fun kr liye isme 12 education games hai jaise – labyrinths, puzzles jigsaw, alphabet soup, games of wit , memory mazes, sudoku aadi. 

Is brain games ko 3 year se lekar 12 year tak ke bacche khel sakte hai aur apni brain ko active kar dakte hai. Isme game me parents bhi apne baccho ko help kar sakte hai.

Download Brain Games 

8. Body Parts Game for Kids – Preschool Learning Game

Baccho Ko Padhne Wala Apps

Body part games for kids me human ke sabhi body part ko cartoon aur animation ke design me diya hai. Jise bacche asani se aur enjoy karte huye learn kare, isme sabhi body part ka name ka voice bhi sunayi deta hai jise bacche asani se yaad kar sakte hai.

Baccho ko yaad karne ke liye isme ek puzzle game bhi hai jisme body part ke sahi kram me rkhane par win ka message aata hai, sath hi isme body port ko abcd ke kram me rkha gya hai. 

Download Body Parts games

9. Kindergarten Kids Learning App : Educational Games

Baccho Ko Padhne Wala Apps

Yah app all in one app hai isme aapko sabhi tarah ke subject mil jate hai jise aap apne baccho ko bahut asani se sikha sakte hai.

Isme abcd alphabet, spelling, Number, counting, Geometric shapes, sabjiye ke name, fruits, name, animals, solar system planet aadi bahut sare chij sikhne ko milta hai. 

Is app me sabhi chijo ko animation aur cartoon ke sath diya hai gya hai jise baccho ko yaad karne me boriyat na ho aur vo acche se padai kar sake.

Download Kids Learning app

10. Princess Coloring Book & Games

Baccho Ko Padhne Wala Apps

 Jaisa ki name se hi pta chalta hai ki yah app drawing ke liye banaya gya hai jisme . Isme bahut tarah ke drawing color maujud hai jiske help ke aapka baccha ek pyara sa drawing create kar sakta hai. 

Drawing ke sath hi sath isme bahut sare game bhi maujud hai jaise_ piano, memory game, pop balloons, magic lines, learn colors aadi.

Download Coloring Book 

Conclusion

Uper diya gye sabhi apps hamne kafi research ke baad aap logo ke samne prastut ki hai jisase app logo ke baccho ko padhane ke liye best app mil sake.

Hame ummid hai ki aapko ye 10 apps pasand aaye honge, agar aapke paas koi sujhav ho to comments ke madhyam se jarur bataye .

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *